Hook 1: Ayodhaya me Ram Mandir sthaapna ke din hi LIC ne sttaapna ki ha ek nayi Annuity insurance plan ki: Jeevan Dhara II

OR

Hook 2: Naye Saal ke sath hi LIC ne launch kiya ha ek naya Annuity insurance plan: Jeevan Dhara II

Aayiye jante ha is policy ke baare me kuch zarrori baatein

Yeh policy ek Non-linked, Non-participating, Individual, Savings, Deferred Annuity plan hai

Is policy me bimadharak ko premium payment deferment period, annuity option, mode of annuity payment ke kayi options milte ha.

Ek sabse bada faayada is policy ka yeh h ki yeh ek Guaranteed Annuity Plan

Premium payment me aapko do options milte ha: Regular Premium aur Single Premium

Annuity type me bhi aapko do options milte ha: Single Life Annuity aur Joint Life Annuity

Is plan me annuity options ke baat kare toh aapko regular premium me 9 aur single premium me 2 options milte ha

Yeh options aap apni screen pr dekh sakte ha

Join life annuity parivaar ke kisi 2 logo ke beech li jaa sakti ha jaise dada-dadi, pati-patni, mata-pita, bache, pota-poti, bhai-behan, aur saas-sasur

Is policy ka deferment period 5-15 saal ka hai regular premium ke liye aur 1-15 saal ka hai single premium ke liye.

Is plan me pravesh karne ke liye nyoonatnam (Minimum) aayu 20 varsh hai jabki adhikatam aayu nirbhar karegi aapke choose kiye gaye option par jo aap screen pe dekh sakte ha

Agar hum baat kare is plan ke nyoonatnam (minimum) premium rashi ke baare me toh voh hai 11,000 in case of regular premium and 1,00,000 in case of single premium

Is policy me bimadharak annuity yani ki pension 4 modes se le sakta ha: saalana (yearly), chamani (half-yearly), teemani(quarterly) aur mahinedar. Nyoonatnam annuity amount saalana ke liye 12,000 ha, chamani ke liye 6,000 ha, teemani ke liye 3,000 ha aur mahinedar ke liye 1,000 rupaye ha.

Bimadharak policy pe loan le sakta ha, agar policy ko surrendar karna chahta ha toh kr sakta ha, death claim me bimadharak apne amount ko lumpsum me ya installments me le sakta ha lekin yeh baat aapko bima lete waqt hi apne agent ko batana hoga.